Ek samay ki baat hai, ek jadui jagah Sylveria mein do bacche rehte the, Lily aur Max. Ve dono acche dost the, jinke paas sahas , pyaar aur bhara dil tha. Har din school ke baad, ve jangalon mein chale jaate the, naye ajube dhundne ne ke liye aur maze karte the.
Ek din, jab suraj chamak raha tha, ve jangal ke andar chal rahe the, tab unhone ek ajeeb cheez dhundhi – ek jadui lantern, jo chamak rahi thi aur rahasyamayi roshni faila rahi thi. Lantern ki roshni unko apni taraf mano jaise kich rahi thi, isliye Lily aur Max ne faisla kiya ki lantern ko jaanchenge.
Jiaise hi unhone ush, lantern ko chhua use ek tej roshni nikli aur alag-alag bhavnaon ka jadoo dikhaayi diya – khushi, udas, gussa, darr, aur bhi kai. Bacche us jadui nazare se mohit ho chuke the, lekin jab unhone uske saath khelna shuru kiya, tho ek buri aur andheri bhavna bhi dikhaayi di, aur tabhi Max ka dil aur dimag, buri aur andhere se bhara sa lagne laga.
Dar se kaanp rahe huye, Lily ne lantern ko Max se dur le liya aur use band karne ki koshish ki, lekin kuch nahi hua. Unhe samajh mein aaya ki unhe buri aur andhere ko khatam karne ke liye aur Max ke andar achai ko phir se zinda karna hoga.
Unhone apne teacher, Mrs. Rosewood, ki ek kahi hua kahani yaad aayi, jo unhein sahi aur galat karne ki shakti ke baare mein batati thi. Lily ne socha, “Shayad agar hum lantern mein achayi aur pyar dikhayenge, toh buri shaktiya ko khatam kar sakta hai.”
Nayi umeed ke saath, Lily aur Max ne apna safar shuru kiya, aur sabse achi bhavnao – khushi, pyaar, daya aur asha – ko jama karne ke liye nikal pade. Unke safar mein kai mushkilein aayi, jo unke dosti aur dridh sankalp ko parakhne lagi, lekin unhone ek dusre ka saath diya aur haushala badhaya, taki ve himmat se kaam kar sake.
Safar ke dauran, unhein alag-alag jib bhi mile, jo unke saath unke mission mein jud gaye. Wahan ek pakshi thi, jiska hasna khushi ka pratik tha. Vahan ek komal sa vishaal jib tha, jisko pyaar aur daya dur se hi mehsoos ho jati thi. Aur vahan tha Phoenix, ek gyani aur sakaratmak pakshi, jiska khusi aur asha ka pratik tha.
Har achi bhavnao ke saath lantern aur tezi se roshni dene lagi, lekin Max ke andar ka andhera khatam nahi ho raha tha. Jaise hi who safar mai age badhte gaye , unhe pata chala ki andhere ka saamna karne ke liye, sirf achi bhavnao dikhane se zyada, Max ke andar buri bhavnoa ko samajhna bhi zaroori hai.
Ek shaam ko, jab ve ek shaant nadi ke kinare aaram kar rahe the, Max ne apne parivaar ko khone ka dar ke bare mai bataya. Unke ma-baap ke beech jagde ke wajah se ve samay samay par pareshan ho rahe the, aur isse unhe dar tha ki ve alag na ho jayenge. Lily ne sahanubhooti ke saath suna, aur Max ko ashvasan diya ki hum dono saath mil ke dar aur dukh ka samna karenge.
Lily aur Max ke beech ka rishta aur bhi mazboot hua, jab unhone apne bhavnao aur anubhavon ko ek dusre ke saath share kiya. Aur us pal mein, lantern ne ek gambhir samvedansheelta aur samajh ka pradarshan kiya. Andhere ko door karne ke liye, sirf achi bhavnao dikhana hi kaafi nahi tha, balki insaano ke bhavno ko samajhna aur apnana bhi zaroori tha.
Anth mein, jadui lantern ka safar Sylveria mein ekta aur pyaar ka pratik ban gaya, aur Lily aur Max ki dosti ne dusron mein daya aur samajh ko jagaya. Unhein yeh baat sikhai gayi thi ki sachchi ki taakat sirf achi bhavnao dikhane mein nahi hai, balki insan ke bhavno ko samjhte huye unhein apnane mein bhi hai.
Aur is tarah, jadui lantern ki kahani pidhi dar pidhi mein aage badhi, har kisi ko yaad dilate hue ki sahanubhooti aur dosti ke saath andhere ko haraya ja sakta hai aur pyaar aur samajh se duniya mai roshni phailayi ja sakti hai.