Title: The Whispering Shadows of Haunted Road

The Whispering Shadows of Haunted Road

Ek samay ki baat hai, ek chote saant gaav mein, jo Bharatiya desh ke ek gehre kone mein  tha, vahaan ek raaz se bhara hua ek rasta tha. Gaav ke log uske baare mein bbat bahi karne ko darte the sab ko maana tha ush rashte mai jane ke liye kyun ki unka maan-na tha ki who rashta shraapit hai.

Ek chandani raat, Amar, ek yuva aur himmatwala ladka, ne faisla liya ki vah iss khaufnaak raaste ki raaz ke bare mai jankari hasil karte hai. Vah apne dosto ke saath chai ki dukaan par apni himmat dikha raha tha, jo uski tareefon par has rahe the aur usse akela iss daravne raaste par chalne ki chunauti de di.

Amar ek torch ke saath ush raste par nikla gaya. Jab vah raaste mein dakhil hua, ek ajeeb sannta ho gayi, ullu ki awaz pani behne ki aur uski dhadkan ki awaz saaf sunai de rahi thi aur charo taraf andhera tha. Who waha pe akela tha sirf ek torch ke saath. Who torch ke Roshni ke saath aage badha

Raaste ke beech mein hi, usne jhadiyon mein kisiko jaate hue dekha. Uska dil tez dhadakne laga jab vah najdeek gaya, aur wahaan ek kali parchaiyi dekhi jo use apni aur bula rahi thi. Vah parchaiyi ek jawan ladki ki thi, Uske lambe, uljhe hue baal uske chehre ko dhak rahe the.

Amar ne pucha – “Kaun ho tum?” Amar ne stammer kiya.

Koi jawab nahi aaya. uske baal uske chehre ko chhupane mein madad kar rahe the. Amar ko dar lagne laga aur usne jaldi se piche chalna shuru kiya.

Agla pal, usne halki si hansi suni, jaise kuch bachche kahin khel rahe hon. aur usne awaaz ki ore badha. Usne ashcharya mein, usne ek bhatakti hui bachchon ki atma dekhi jo ek jool par khel rahe the, jo ek purane banyan ped se bandhi hui thi.

Sabhi bacho ne kaha “Aao, hamare saath khelo,”

Amar kuch samaj nahi paa raha tha kya kare aur jaa kar ush jhool par baith gaya. Lekin jaise hi usne aisa kiya, hansi buraai mein badal gayi. Jhool tez ghumne lagi, aur Amar ki drishti dhundli ho gayi.

Bahou kosis karne ke baad Amar ne jhool ke pakad se khud ko chhuda liya. Uski saans phool gayi, aur jaise uske pair usse le ja sakte the who teji se dauda.

Usne tab tak nahi ruka jab tak vah gaav ki suraksha mein wapas nahi pahucha. Dhadakte hue aur bhayabhit ho gaya tha, usne samjha ki usne abhi kuch kalpana se bhi atyant bhayanak chizo se mila tha, jo Bhootiya Rasta ko bhatakti thi.The Whispering Shadows of Haunted Road

Agli subah, Amar ke dosto ko uske saath jo jo hua uske bare mai bataya. Usne socha agar mai unko yeh kahu ki mai bahout dar gaya that ho who mera Mazak udayenge, aur usne kaha ki who par koi bhoot nahi hai mai waha par maze kar ke aaya tum bhi aaj raat ko mere saath aur who apne sare dosto ko ush raashte mai jaane ke liye mana leta hai.

Who sabhi raat ko ve raaste mein gaye, to unhone kisi ki aahat sunai padi who sab dar lagne laga dhere dhere who who ush rashte pe aage badhte rahe.

Jab ve ush banyan ped ke paas pahunche, to vahaan fir se bhatakti hui bachche dikhayi di, jhool par khel rahe the. Bachche ek baar fir bulaye, lekin is baar Amar apne dosto ko  waha jane se roka. Aur waha na ruk kar aage badh gaye. unka ek dost piche reh gaya tha ush banyan ped ke pash baki dost aage badh gaye the

Safed saree pehni hui ladki unke saamne aayi, jiska chehra ab bhi dhaka hua tha. Ush ladki ne kaha tum sabko le aaye. Amar ke dosto ko kuch samaj nahi aaya.

Jab amar piche mud kar apne dosto ko dekhta hai tho uske dost dekhte hai ki amar ki aakhe nahi hai who waha se bhag ne ki kosis karte hai par mano jaise unki par jamin pe dhas gayi ho. Aur who dhere dhere jamin pe dhaste gaye dhere dhere sabhi jamin ke andar sama gaye. ush ladki ne dekha ki unka ek dost waha nahi hai. Usne amar ko bheja jaldi usko le ke aao. Amar dhundne gaya usko.

Lekin jo dost piche banyan ke ped pe ruk gaya tha usne amar ki dead body ko banyan ke ped pe tanga hua dekh liya tha. Amar usko dhundte dhundte uske paash pahunch gaya uske dost ne pucha tumne mere dosto ke saath kya kia.

Amar ne kaha tho thume sab pata chal gaya hai. Chalo mere saath sabhi thumara intezar kar rahe hai jaldi chalo uske dost ne bina ruke daudne suru kar diya phir bhi amar ne use pakad liya. Lekin uske dost ne jesus ki locket apne gale mai pehni thi jiski wajase who uska kuch bigad nahi paaya. Subha ho gayi thi aur uska dost ush darawani rashte se bahar aa gaya tha.

Gaon ke logo ne uski madad ki. Gaon ke logo ne pucha tum yaha kya kar rahe ho tho usne saari batein batayi. Thumare dosto ka kya hua who sab kaha hai. Ush aatma ne sabko mar diya.

Gaon ke logo ne kaha ish rashte mai jo bhi gaya hai who aaj tak wapas nahi aaya. Tum bahou khus nasbi ho ki bach gaye.

Ish Kahani se Hume ye sikh milti hai jo chiz humare soch samja se pare ho ush ke saath kabhi ched khani na kare.